Tu❣️
Diwali ke diyo si hai teri hasi,
jab hasse toh sara mahaul jagmaga uthata hai
Holi ke rangon sa hai tera kirdar,
parat dar parat har rang ki tarah kuj naya hi raaz khulta hai
Lori ki tapti aag si hai tu,
kisi ke liye Bam ka gola
toh kisi ke liye sardi mein pyari Sek hai
Agar sardi ke mausam si kadak hai,
toh apno ke sath barish ki bundo si rahat hai
Har mausam ka ek rang hai tujh mein,
isi kudrat ki tarah teri shaksiyat bhi marm hi hai.
*******
Bạn đang đọc truyện trên: Truyen4U.Com